Maine puuchha, zeher se bhi tez koi
cheez
Saaqi ne, zindgi ka piyaala thamaa
diya.
Uthti nhi hai ankh kisi aur ki taraf.
Paband kar gayi hai kisi ki Anazar mujhe..
Jab bhi teri yaadon ki barsaat hoti
hai
kambakht meri aankho se hi shuruwaat
hoti hai.
Aa gale tujh ko laga loon mere pyaare
dushman
Ek meri baat Anahin, tujh pe bhi kya
kya guzri - Ahmed Faraz
Humain koi gila hai to khud apne dil
se hai
Auron pe hum ilzam tarasha nahin
karte..
Ye
bhi ek rang hai shayed meri mehromi ka
Koi
hans de to mohabbat ka gumaan hota hai..
Parhi
hain yun to kitaabein, magar haqeeqt mein
Sabaq
jo mujhko mile, apni zindagi se mile..
Tanhaai
main jo chumta hai mere naam ke haroof
Mehfil
main woh shakas meri taraf dekhta bhi nahi..
Main
us shakhs ko kaisay manaon Faraaz
Jo
mujh se rutha hai meri muhabat k sabab..
Ab duniya koi nayi basa ae mere Maalik
Har cheez ata kar wohi, bas dil na ata
ho..
Ped ko deemak lag jaaye, ya aadam zaad
ko gham
Dono hi ko Amjad hum ne bachte dekha
kam -
Ek baar uski aankhon mein dekhi thi be
rukhi
Phir uske baad yaad woh aaya nahin
kabhi..
Iss
qadar zarf to rakhte hain zamaane wale
Zindagi
chheen ke jeene ki dua dete hain..
Zaroor
kuch to hai apni hayaat ka maqsad.
Suna
hai cheez koi dehar mein fuzool nahin..
Iss
daur mein wafa ki ummeed jisse kii !
aakar
usi ke haath ka patthar laga mujhe !!
Patthar-dil
insaaano se dil laga ke haar chuke ab,
khud
se mohabbat karne ka waqt aaya hai.
Mohabbat
mein to bas deewangi hi kaam aati hai.
Yahan
jo aqal daudaaye, woh aashiq ho nahin sakta..
Na
dikha paayega, tu khwaab meri aankhon ke.
Ab
bhi kehta hoon musawwir mera chehra na bana..
Behte
dariya ko mod kr na ja. Is tarah dil ko tod kr na ja.
Tumari
raah k paththar hi sahi. Raaho me yuhi chhod kr na ja..
Woh
jo khud ko husn e hoor samajh baithe hain
Kaun
jaanta tha unhein hamari mohabbat se pehle.
Khud
uska jurm usey umar bhar saza dega.
Ke
khamoshi se bada inteqam koi nahi.
Ab
jaan e jism khaak se tang aagayi bohat
Kab
tak is ek tokri mitti ko dhoiye"
Lagta
hai apni uljhanein aur barh jaayengi Faraz..
Aaj
humein phir kisi ki saadgi achi lagi..
Jo
daastan log nhi kehte, chupaye firte hai.
Aksar
waqt use bayaan krta hai.
Ek
hi masla ta umar hal na hua.
Neend
poori na huyi, khwaab mukammal na hua..
Zara
dekho wo darwaje per dastak kaisi hai
agar
ho ishq to kahna yaha koi dil nahi rahta..
Tumhari
ankho ki tauheen ha zara socho
tumhara
chahne wala sharab pita ha.. M Rana
Yeh
duniya zaalimo ki hain. Sambhal kar chalna mere bhai
Yahan
log pyaar jata kar aur seene se lag kar. Dil nikaal lete hain."
Nazar
aa jaenge ansuo me jab b tum rowoge
Mitti
kiya ha apne hum pani ban k niklenge.
Un
logon ka jhuk kar milna aur bura hai
Bade
parindon ki neechi udaan se darna.
Roj
padta hu chhod deta hu. Ek warak roj mod deta hu
Is
kadar jakhm hai nigaho me. Roj aaina tod deta u.
Kambakht
dil aaj phir se laut aaya wahaan
sabse
chhupa ke jahaan mohabbat ko dafna diya tha.
Zindagi,
is se ziyaada to nahin umr teri
Bas
kisi dost ke milne se juda hone tak - Ahmed Faraz
Ghar
me rehkar bhi main beghar hu
din
ho ya ho raat hamesha ek safar me hu..
Shayad
koii Khvaahish roti rahati hai
Mera
andar baarish hoti rahti hai..
Chand
lamhon ka hua karta hai khwaabon ka safar
Aankh
khulti hai to sadiyon ki thakaan hoti hai.
Tere
milne ke liye jab bhi uthaaye maine haath
meri
iss maasoom khwaahish par duaa roti rahi..
Tamanna
dard-e-dil ki ho to khidmat kar faqeeron ki
Nahin
milta ye gohar baadshahon ke khazeenon mein..
Bahot
hi munfarid hai ye mohabbat sare khelon main
jo
haara phir nahi khela jo jeeta usne tauba ki.
Bisaat-e-dil
pe ajab hai shikast-e-zaat ka lutf
jahan
pe jeet atal ho wo chaal haar ke dekh..
Dekhta
hoon to nahin reham ke qaabil koi
Sochta
hoon to hazaaron pe taras aata hai..
Jazbaat
ke khel Mein mohabbat ka saboot na maango mujhse
Mene
wo Aansoo bhi Bahaaye hain jo meri ankhon me Nahi the..
Kamayaabi
ka yaqeen door na karde tujhko
Paas
manzil k zara aur sanbhalna hoga..
Muskaan
banaye rakho to duniya hai saath warna
Aansuon
ko to ankhon mein bhi panah nahin milti..
Marta
nahin ab koi kisi ke liye Nasir
The
apne zamane ke jaawan, aur tarah ke - Nasir Kazmi
Is
zindagi mein itni faraghat kise naseeb
Itna
na yaad aa ke tujhe bhool jaayein hum - Ahmed Faraz
Mujhe
na dhoond zameen o asmaan ki #gardish mein
Tere
dil mein ager nahin hoon to phir kaheen nahin hoon main.
Khushk
tinkon se ghar bana rahe ho Mohsin
Ye
Jaante bhi ho ke mizaaj-e-yaar aag saa hai.
Halaat
mere mujh se, na maloom kijiye
Muddat
hui, mujh se mera wasta nahi..
Daulat
e dard ko duniya se chupa kar rakhna
Aankh
mein boond na ho, dil mein samandar rakhna- Faraz
Main
zindagi se puch raha hun ajab sawaal
Wo
kaun tha jo mere badan se nikal gaya..
Ameer-e-shehar
ki hamdardiyon se bach ke raho
Ye
sar se bojh nahi'n, sar utaar leta hai..
Roz
kha lete hain hanste huye chehron se fareb
Kya
karein, Aapni nigaahon mein murawwat hai abhi..
Is
shahar-e- tijaarat mein har chiiz mayassar hai..
Kitne
kaa Nabii loge, kitne kaa Khudaa loge..
Bura
ho waqt to sab aazmane lagte hain
Bado'n
ko chhote bhi ankhein dikhane lagte hain..
No comments:
Post a Comment