Sunday, August 18, 2013

JAAGO RE..

Toofano se Aankh milao, Sailabo per Vaar Karo,
Mallaho ka Chakkar chodo, tair k dariya paar karo

Aaj shiddat se karo kosish chirag banne ki,
Kaun jane kal tumhi se roshan sara jahan ho.

Fasaad paida karne waale sach se.
Aman phelane waala jhoot ziyaada behtar hai..

Deen aur duniya ko saath rakhna parhta hai.
Masjidon mein rehne se Jannatein nahin milti.

Sab din bhagwaan ke, kyaa mangal kyaa peer /
jis din soyaa der tak, bhuka raha fakeer..

Taqdeer ke Likhe Par Kabhi Shiqwa Na Kar ae bande.
Tu Abhi itna Samajhdaar Nahi Ki. Rab ke iraade Samajh Sake.

Ab to zakhm naasoor banke bhi logon ko dikhayi nahi dete,
ek waqt tha jab chot lagne pe maa haldi wala doodh ley aati thi.

Doobe huye taaron ka ye maatam nahin karti.
Chadte huye sooraj ki pujaari hai duniya..

Jab kabhi khud ki harkaton pe sharam aati hai..
Dheere se bhagwaan ko chai paani chadha deta hoon- Gulzar

Maana ke mayoosi ki zameen badi sakht hai.. Phir bhi fasl e umeed lagane mein kya harj hai..

ख़ुद पुकारेगी जो मंज़िल तो ठहर जाऊँगा वर्ना ख़ुद्दार मुसाफ़िर हूँ गुज़र जाऊँगा

1 comment: